Programming Songs

1. Two Recursive functions calling each other
Mujhe kuchh kehna hein
mujhe bhi kuchh kehna hein
pehle tum, pehle tum

2. The debugger
Jab koi baat bigad jaye
Jab koi mushkil pad jaye
Tum dena saath mera hamnawaz

5. Unexpected bug (esp. during presentation to client)
Ye kya hua, Kaise hua, Kab hua, Kyon hua

6. And then to the clien
Jab hua, Tab hua, O chhodo, ye na socho

7. Load Balancing
Saathi haath badhana
ek akela thak jayega
mil kar bojh uthana

8. Modem – talk on a busy connection
suno – kaho,
kaha – suna,
kuch huwa kya?
Abhee to nahin…
kuch bi nahin

9. Windows getting open sourced
Parde mein rahne do
parda na uthao
parda jo uth gaya to bhed khul jayega
allah meri tauba, allah meri tauba

10. Local variable
Jeena Yahan Marna Yahan ,
Iske siva Jana kaahan.

11. Global variable
Musafir hoon yaaron,
na ghar hai na thikana

12. Null pointers
Mera jeevan kora kagaz kora hi reh gaya ..

13. Dangling pointers
Maut bhi aati nahi jaan bhi jati nahin.

14. GOTO
Ajeeb dastan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilen hain kaun si
Na woh samajh sake na hum

15. Hidden or Private scope Variable/value
Jaanejan .. dhoondta phir raha,
Hoon tujhe raat din,
main yahan se wahan

Mujhe Yaad Koi……

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Mein” Abhi Faiyda Bhi Hai Bhool Mein
Abhi Mujhe Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Main Janam Janam Se Naraz Hoon” Main Janam Janam Se Udaas Hoon
Main Kabhi Bhi Khul K Hansa Nahin” Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tu Hai Khuwab Khuwab Pukarta” Meri Ankh Mein Nahin Ashk Bhi
Main Muddaton Se Jia Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Khushbuon ki Hai Aarzu” Tujhe Roshni Ki Hai Justju
Main Hawa Nahin” Diya Nahin” Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Ansuon Ka Pata Nahin” Tujhe Rat’jagon Ka Guman Nahin
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mare Humsafar Abhi Soch Le,

Mujhe Doondta He Phiry Ga Tu” Na Jeey Ga” Roz Mary Ga Tu
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahi Mare Humsafar Abhi Soch Le,

Kaho Lautna Hai kisy” Yahan Mere Dard Sun Mere Meharban
Mare Pass Waqat Zara Nahi Mere Humsafar Abhi Soch Le !

Ese Ji Nahi Sakte

Haal Dil Ka Unse Hum Keh Nahi Sakte
Tadapna Itna Ke Unke Bina Reh Nahi Sakte

Dil Maange Zubaan Behati Hai Aankhon Se
Ho Dard Bayaan Jo Hum Seh Nahi Sakte

Aarzu Esi Jo Kabhi Bhi Dam Tod De
Mohabbat Ke Dariyaa Fir Bhi Beh Nahi Sakte

Girafft Me He Jaan Sine Me Ruki Aahen
Ghutan Esi Ki Ab Saans Le Nahi Sakte

Ek Hi Thi Apni Manzil Jise Hum Gavah Bethe
Bhataki Raahon Me Ab Ese Ji Nahi Sakte

Tumko jaante nahi ….!!

Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, per sochte hain hum

Tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum

Jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum

Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum

Funny Video

Hum Nazuk Nazuk Dil wale



Hum Nazuk Nazuk Dil wale

Bas aise hi to hote hain…

Kabi Hanste hain Kabi Rote hain

Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain



Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian,

Kabi Raat mai Tanha hote hain

Kabi Chup ki Mohrr lagate hain,

Kabi Geet Labon per latey hian





Kabi Sab ka Dil Behlatey hain,

Kabi Khood mai Tanha hote hain

Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain,

Kabi Lambi Taan ker sotey hain

Hum Nazuk Nazuk Dil wale

Bas aise hi to hote hain

Kabi Hanste hain Kabi Rote hain

Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain

Khamoshi bol uthe





Khamoshi bol uthe, to
har nazar paighaam ho jaye

Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye


Sitare mashalen Le kar mujhe bhi dhoondne niklain

Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye



Men wo Adam-e-guzeda’ n hoon Jo tanhai k sehra men

Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye



Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki

Na ho daaman mein zar’ra aur sehra naam ho jaye



Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai

Hum is se Bach ke chalte hen Jo rasta aam ho jaye

Blue Bird of Friendship




I’ll keep this short and simple,

Though I thought it would be sweet-


To send a little cheer your way,


along with a chirp – and a little tweet tweet!


So, I sent this little birdie-

To show I’m glad that we’re together,


And I’ll forever be your friend,


Because we’re truly birds of a feather!